Thursday, January 10, 2013

shayari

kai alfaz aaj zuban se guzar jane ko machal rahe hain,
 kai khwab aaj aankhon ke galiyaron main aane ko machal rahe hain,
 par kuch rok raha hai unko, par kuch thame hai unko...
shayad ye yakeen ki woh bina sune sab samajh rahe hain,
 shayad ye saraab(mirage) ki woh hakeekat main badal rahe hain